Wastay Hazrat Murad e naik naam     Ishq apna day mujhe rab al-inaam     Apni ulfat se aata kar soaz o saaz     Apne arfaan ke sikha raaz o niaz      Fazal e Rehman fazl tera har ghari darkaar hai     Fazal e Rehman fazl tera ho to bera paar hai

 

 

Hazrat Muhammad Murad Ali Khan Rahmatullah Alayh

 

 

Hazrat Abu Baker Shibli

 

Rahmatullah alayh

 

Aap ki wiladat basaadt 247 Hijri Samra nazd Baghdaad mein hui. Aap ka ism e graami Jaffer bin Younis aur kuniat Abu Baker Rahmatullah alayh  hai. Aap ke waalid khalifa Baghdaad ke chobdaar they aur Hazrat Abu Baker Shibli Rahmatullah alayh Nahawand  nami qasbay ke haakim they. Aap ka shumaar maarfat o haqeeqat ke moutaber sufia karaam  mein hota hai. Aap ne Hazrat Imam Malik Rahmatullah alayh ke peiro kaar they aur si Ahadees bhi aapne tehreer kar rakhi theen .

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

Aik roz khalifa ne Baghdaad mein bulaya aur husn khidmaat ke siilay mein khilat pehnaya. Aap khalifa ke darbaar se rukhsat ho kar niklay hi they kay itafaqan chheenk aa gai aur aap ne aasteen e khilat se hi naak saaf  kar le. Mukhalfin ne foran is ki shikaayet khalifa se ki kay yeh shakhs kisi terhan bhi laiq khilat nahi hai huzoor ki ataa karda khilat se is ne naak saaf  ki hai aur yeh intahi be adbi hai. Jis par khalifa ne khafa ho kar aap se khilat wapas le li aur aap ko bar tarf  kar diya .

Is waqea ne Hazrat Abu Baker Shibli Rahmatullah alayh ki zindagi hi badal daali. Aap ne kaha kay agar koi makhlooq ke atiyah ko ba tur romal istemaal karta hai to usay manasub se mazool kar dya jata hai aur jo shakhs khilat maarfat ki qader na kare to is ka kya haal hoga. Yahi soch kar aap tarik al-dunia ho gaye aur Hazrat Shaik Nisaaj Rahmatullah alayh ke haath par jaa kar tauba ki aur baet ho gaye. Hazrat Sheikh Nisaaj Rahmatullah alayh se kuch arsa faiz haasil karne ke baad Hazrat Sheikh Rahmatullah alayh  ne aap ko Hazrat Junaid Rahmatullah alayh  ki khidmat mein bhaij diya .

Jab aapHazrat Junaid Rahmatullah alayh  ki khidmat mein haazir hue to un se arz kya kay logon ne mujhe bataya hai kay aap ke paas aik gohar nayaab hai lehaza aap ya to is ko mere haath farokht kar dein ya phir baghair qeemat ke de dain. Hazrat Junaid Rahmatullah alayh ne farmaya agar mein farokht karna chahoon to tum khareed nahi satke kyunkay tumahray andar qouvat khareed nahi hai aur agar muft day dun to is ki qadar w qemat ko nah samajh sako gay. Lehaza agar tum woh gohar haasil karna chahtay ho to behar e toheed mein gharik ho kar fanaa hojao phir Allah Talla tumahray uopar sabar o intzaar ke darwazay kushadah kardey ga aur jab tum dono ko bardasht karne ke qabil ho jao ge to woh gohar tumahray haath lag jaye ga .

Hazrat Abu Baker Shibli Rahmatullah alayh ne Hazrat Rahmatullah alayh  se poocha kay ab mujhe kya karna chahiye. Unhon ne farmaya aik saal taq gandhak beech, chunancha aap aik saal tak gandhak baichtay rahay. Phir Hazrat Rahmatullah alayh  ne farmaya kay aik saal taq bheek mango. Phir aap aik saal taq bheek mangte rahay. Phir Hazrat Junaid Bughdadi  Rahmatullah alayhRahmatullah alayh ne aap se kaha kyunkay tum Nahawand  ke hathon beh chuke ho lehaza wahan jaa kar har fard se maffi talab karo. Chunancha jab aap gay to aik 1 shakhs se maffi mangi. 1 shakhs mojood nahi tha lehaza aap ne aik laakh darham khairaat kar diye. Lekin is ke bawajood bhi aapke dil mein khlish baqi reh gayi. Jab dobarah Hazrat Junaid Rahmatullah alayh  ki khidmat mein haazir hue to unhon ne farmaya kay abhi tumahray dil mein jah baqi hai lehaza aik saal taq aur bheek mango. Chunancha aap bheek se jo kuch milta is ko HazratJunaid Rahmatullah alayh ke paas lakar fuqra mein taqseem kar dete .

Aik saal ke baad Hazrat Junaid Bughdadi  Rahmatullah alayh ne aap ko fuqra ki khidmat guzari ki shart par apne paas rakh liya. Aik saal baad Junaid Bughdadi  Rahmatullah alayh ne poocha tumahray nazdeek nafs ka kya maqam hai. Aap ne jawab diya mein khud ko tamam makhloqaat se kamtar tasawwur karta hon. Yeh sun kar Junaid Bughdadi  Rahmatullah alayh ne farmaya aaj tumahray imaan ki takmeel ho gayi hai .

Ibtidayi daur mein jo koi aap ke samnay khuda ka naam laita aap is ka munh shukar se bhar dete aur bachon mein mehez is niyat se sheereeni taqseem karte kay woh aap ke samnay Allah Allah karte rahen. Phir baad mein yeh kefiyat ho gayi kay Khuda ke naam lainay walon ko rupay aur ashrafiaan diya karte they. Phir is maqam par poanch gay kay talwar haath mein liye phirtay aur farmatay mere samnay Allah ka naam le ga mein is ka sar qalam kar doon ga. Logon ne poocha aap ne apna pehla rawayya kyun tabdeel kya farmaya pehlay mein yeh samjhta tha kay log haqeeqat o maarfat ke aitbaar se Khuda ka naam letay hain lekin ab mujhe maloom howa kay woh sirf mehez aadtan letay hain jis ko mein jaiz tasawwur nahi karta .

Aapse be shumaar karamaat huien. Aik dafaa sukar ki haalat mein dareaye Dajla mein chhalang laga di lekin aik mouj ne phir kinare par pheink diya. Aik din phir ishq mein aisay mustaghraq hue kay aag mein kood parre magar aag aap ke uopar assar andaaz nah ho saki. Is ke baad bhi aksar mohlik maqamat par poanch kar khud ko halaak karne ki koshish karte rahay lekin aapko koi gaznd nah pohanchi. Aap is haal par poanch gay kay logon ne aap ko pagal samjhna shuru kar diya. Phir pagal samajh kar aap ko pagal khanaay bhaij diya .

Aik martaba Eid ke din siyah libaas mein malbos they aur wajad ka aalam tha jab logon ne sayah libaas pahannay ki wajah daryaft ki to aap ne farmaya kay mein ne makhlooq ke maatam mein siyah libaas pehna hai is liye kay poori makhlooq Khuda se ghaafil ho chuki hai. Mujahdaat ke douran aap baar baar apni aankhon mein namak bhar letay taakay neend ka ghalba nah ho. Aik martaba chimti  le kar apna gosht nochna shuru kardiya to Hazrat Junaid Bughdadi  Rahmatullah alayh ne is ki wajah poochi to aap ne farmaya kay jo haqayiq mujh par munkashif  hotay hain un ki mujh mein taaqat nahi. Is liye yeh amal kar raha hon taakay aik lamha ke liye sukoon mil jaye .

Aik martaba naye kapray jism se utar kar jala daaley aur jab logon ne arz kya kay shariat mein bilaa wajah maal ka zeyaa haraam hai to farmaya kay Quran ne kaha hai" jis sheh par tumhara qalb mael hoga is ko bhi tumahray sath aag mein jala de ge" kyunkay mera qalb is waqt naye kapron par mael ho gaya tha is liye mein ne un ko duniya hi mein jala dala .

Jab aap ka waqt e akhirat qareeb aaya to hazreen se farmaya mujhe wuzu karao. Aap wuzu karte hue iztirabi kefiyat mein daarhi mein khalal karna bhool gay chunancha aap ne dobarah wuzu kya. Jab aap ke uopar nazaa ka aalam tha to aik jamaat namaz e janaza parhnay ke liye aa pohanchi. Aap ko ba zarea kashaf is ka pata chal gaya. Kehnay lagey kay yeh ajeeb baat hai kay zindah hi ki namaz e janaza parhnay chalay aeye hain .

Hazrat Abu Baker Shibli Rahmatullah alayh 2 Zilhajah 334 Hijri  mein is dar e fani se rukhsat hue. Aap ka mazaar aqdes Samara Baghdaad mein hai .